
Posts | 201 |
Member Since | 8 Aug 2012 |
Last Visit | 3 Dec 2013 |
Likes Given | 9 |
Likes Received | 9/8 |
BoldManMHM wrote:urdu likhna itna mushkil nahin he haan ye zaroor he k roman main likhna thoda mushkil he
our dosri baat ye k main ye nahin kheta kenglish nahin bholna chahey balkey hamara masla ye he k jahan zarorat nahin hoti wahan bhi english hi bholtey hain
shahid_ali wrote:BoldManMHM wrote:urdu likhna itna mushkil nahin he haan ye zaroor he k roman main likhna thoda mushkil he
our dosri baat ye k main ye nahin kheta kenglish nahin bholna chahey balkey hamara masla ye he k jahan zarorat nahin hoti wahan bhi english hi bholtey hain
aap ki ittalaa k liy arz hay k english ko urdu mai angraizi bolty hain..
is liy aap ko bhe sharam aani chahiay!!
kisi ko baat karny say pahlay ager banda apny giraybaan mai jhank lay to ziada acha hota hay..
ye routeen k alfaaz hain jo k ham aisy he istamaal kar jaty hain.. is liy is cheez ko issue banana ghalat hay..
mai aap say bilkol bhe ittifaq nahe karta..
BoldManMHM wrote:oh mery bhaio aap main se kisi ne kaha k ye jahlon wali bat he kisi ne kaha k ye abi bacha he kisi ne ka k ye he hi galt bat our koi kheta he k kisi ko urdu likhni nahin ati chlo sub kuch maan liya lakin ye batain kuch mery jesy anpad bhi hain is site pe jin ko english nahin ati tu un ko tu jawab urdu main de diya karin yaha main ne kitney hi mozu dekhey hain jin main urdu main sawal hota he our jawab english main milta he