princeovais wrote:
gud information
but in sab chizo se pehle ye malum karne ki zaururat hai ki clixsense se hum jo paisa kama rahe hain, wo halaal hai ya haraam?
is baare me log apni-apni raay dete huye alag alag tarah ki baatein kar rahe hain.
is baare me mujhe khayal aaya to maine filhaal is kaam ko abhi rok diya hai.
aap bhi plz pehle kisi Aalim se mashwira karke is kamayi k halaal ya haraam hone k baare me pata kijiye ki kahin hum log apne pait me jahannum ki aag to nhi bhar rahe hain.
sabse pehla takaaza yahi hai ki aap plz shariat k hawaale se malum kjiye aur forum k sab muslims ko bataiye.
Shukriya
Bhae. meri kai Allama sey baat hoi k aap jo kaam mehnat sey karty ho basharteh k uss main haram cheezain e.g; sharab, etc na hon yehni jo ad, task ya survey sharab etc related ho wo aap na karain. baqi jo b advertise , task, survey dosri cheezon like halal food, automobile etc unn par aap kaam karain. kion k aap apni mehnat sey paisey kamaen gy.
Aik aor cheez aap jab kisi company main kaam karty hain tu woh aap ko bank k through payment dety hain. iss taha socha jaey tu bank wali payment b theek nai lakin actually woh salary ya earning aap ki mehnat ki aor aap ki majboori hy k aap bank ya uss source sey payment laity hain.
iss liey ""JAIZ"" kaam zaroor karain aor ""NAJAIZ"" ko chore deya karain.
Umeed hy main app ko samja saka hon.
(Note:- Ikhtalaf e raey ho sakta hy. agar koi baat ghalat likhi ho tu maaf karna bhaeo.)