Please wait...
HomeForumPosts by babarwah786

Jump to
ySense Customer Care CornerySense Knowledge CenterMembers LoungeYour StatsSuccess StoriesPayment ProofsMember IntroductionGeneral TalkForo en EspañolCharla GeneralSoporte General y PagosInternationalPortugueseItalianFrenchGermanHindiUrduFilipinoIndonesianArabicRomanianTurkishRussianBulgarianHungarianPolishEx-Yugoslavia
Posts by babarwah786

Refferals » Post #2

Fri Aug 16, 2013 19:51 in Urdu

Salam, Brother pehly tu ap correction kr lain apny words ki. Direct referrals aur rent referrals mein yehi difference hai k rental referrals ap buy kr sakty ho yani unhain eik mahinay ki payment kr k ap apna referral bana sakty ho eik mahina k liye. Aur direct referral kehty hi us ko hain jo direct ap ki mehnat aur kawish k nateeja mein ap ka referral ban jaye. Jahan tk ap ka yeh kehna hai k ap k 3 weeks se ap try kr rhay ho tu yeh koi bara masla nai hai bohat se log is se b ziada time se try mein hain laikin kamyabi hasil nai kr saky. Infact Clixsense ab itni trusted aur purani site ho chuki hai k mostly online kaam krny waly is ko join kr chukay hain laikin phir b abi beshumar log is k bary mein nai janty. Ap koshish jari rakho. Eik blog banao us mein clixsense k bary mein tamam details likho aur apny blog ko advertise kro, Google+, Twitter, Facebook, Linkden, aur aisy bohat se social forums hain. Aur ap apny close friends jo hain school, college k aur collegues jo net user hain un ko apna link do aur un logon ko insist kro k agar wo farigh hain tu yeh un k liye best activity hai kuch na kuch earn krny ki. Aur agar koi job kr rhay hain tb bhi being side business wo is per kaam kr k earn kr sakty hain. Aur yaad rakhain sirf referral bana laina koi bara kaam nai hai jab tk wo referral active na ho wo daily ads click na kry offers na complete kray tasks na kry aisy referral ka ap ko koi faida nai hai. Mery 50 plus referrals hain laikin un mein se active 15 k qareeb hain jo waqai hi daily login ho k kaam krty hain baqi k jo hain un k jab dil cahaha login howy jab na cahaha hafton nazar nai atay. So, keep trying and u ll get ur goal inshallah. All the very best. :)

payza prepaid work? » Post #2

Fri Jul 05, 2013 14:57 in Urdu

Nai

Payza New Credit Card Recieved » Post #6

Fri Jul 05, 2013 14:56 in Urdu

Ap simply apny Payza account mein jao aur wahan main account page per hi credit card ka option nazar aa rha ho ga credit card ki pic bhi bani howi ho gi. Order now per click krain aur agay jo page open ho ga us per apni tamam details fill up krain apna naam, apna address sb kuch correct fill up krain. Eik adh proof bhi ap ko apny ghar k address k hawaly se upload krna pary ga k ap usi address pe rehty ho jo address ap fill up kr rhay ho. Gas ka electricity bill ya koi mobile ya ptcl bill jis per address nazar aa rha ho us ki scan copy sath mein attach krni ho gi. $20 k qareeb ap k account mein hony chahiyen jo fees hai is card ki. Order place kr dain ap ko email aa jaye gi aur us mein time bta diya jaye ga ap ko k kitny arsay mein ap ko card mil jaye ga. Normally within one month recieve ho jata hai. All the best.

i have upgraded my account » Post #11

Sun Jun 30, 2013 11:21 in Urdu

sohailkhan95 wrote: today upgraded to premium for 2 years :clixsense: Now its time to make some referrals[/quot

Congrats brother. Accha mujhy yeh nai pta chala k ap 2 saal k liye b upgrade kr sakty ho apni membership warna mein ne abi april mein renew ki hai apni membership. Mein b 2 saal k liye hi kr laita kam az kam is tension se tu jaan choot'ti. Next year april mein pta nai halaat kaisy hon clixsense ko time day pa rha hon ya nai... :roll:

Payza New Credit Card Recieved » Post #1

Sun Jun 30, 2013 11:18 in Urdu

Salam,

Friends, I recieved my new Payza Credit Card in replacement of last issued Credit Card. Pehli baat tu yeh hai k last card jo mera tha wo US $ mein tha aur jo card ab bhaija hai Payza walon ne wo CAD $ mein hai yani Canadian Dollars. Azmaish k tor per mein ne 50$ card mein recharge kiye aur Standard Chartered se withdraw kiye hain aj. Perfectly withdrawl ho gaye hain dollars. May be yeh issue sirf US $ k sath tha. Allah kray ab agay b aisy hi processing hoti rhay is naye card per. :)

9000 Tasks completed wohoooo » Post #18

Sun Jun 30, 2013 11:13 in Urdu

tafheem wrote: I have completed 9000 tasks on Clixsense. :lol:

Congratulations Tafheem bhai you r great..... :clap:

My first 1000$ with ClixSense » Post #13

Mon Jun 24, 2013 02:58 in Urdu

Very very Congrats Ammad keep it up man. All the very best for future.... :clap:

Payza credit card replace email » Post #1

Wed Jun 19, 2013 12:23 in Urdu



Salam,

Ab yeh Payza ka naya drama shro ho gaya hai. New credit cards replace kr rhay hain. Kia kisi aur ko b aisi mail recieve howi hai? Ab yeh pta nai kitna waqt thek chaly ga. Jo pehly prepaid cards issue howy thay wo tu 3 saal k liye valid thay ab pta nai yeh fresh 3 saal ki validity k sath milain gay ya jo time period guzar chuka hai purany cards k sath wo is mein include ho ga. Confused......... :roll:

Liberty Reserve G0ne :( » Post #3

Sat May 25, 2013 23:06 in Urdu

Paypal aur Payza k elawa koi authentics nai hain. Kisi na kisi waqt sb jaan churwa jaein gay. Pakistanis k liye tu waisy bhi mostly finish kr chukay hain shukar hai Payza jaisa taisa chal rha hai. :)

13 Rajab Zahoor e Mola e Kainaat Ali Sb ko Mubarik » Post #4

Thu May 23, 2013 23:29 in Urdu

13 Rajab Zahoor e Mola e Kainaat Ali Sb ko Mubarik » Post #3

Thu May 23, 2013 23:27 in Urdu

13 Rajab Zahoor e Mola e Kainaat Ali Sb ko Mubarik » Post #2

Thu May 23, 2013 23:24 in Urdu

13 Rajab Zahoor e Mola e Kainaat Ali Sb ko Mubarik » Post #1

Thu May 23, 2013 23:21 in Urdu

Aamad Jaha'n Me AAJ Hy PehLe iMAM Ki
Ummed Hogai Humen Kousar Kay JAM Ki

MehfiL Saji Hue Hy Durod-O-SaLam Ki
Midhat Sirai Hogi iMAMe Anaam Ki

Bazm'e ALi Me AA K Shagufta Hua Dimagh
Khushbu Yahan Main Pa Gaya DaarussaLam Ki

Aisa Kia ALi Ne Hy KABAY Ko Pak-O-Saf
Tasbeh Butt Bh Parhne Lagay "HAQ iMAM" Ki

Mah'e RAJAB Ki 13vee'n Hy AAJ MoMiNo
Bazm'e Khushi Saji Hai Bare Dhoom Wiladat Dhaam Ki

Hubb'e ALi Se Hogya Mamoor Jiska DiL
Lazzat Yahan Wo Pa Geya Kousar K Jaam Ki

ZaHoOr E MoLa E KaInAaT AlI A.s IbNe AbU TaLiB
BoHaT BoHaT /\/\uBaRaK HoO

AAP NE KIS PARTY KO VOTE DIYA ? » Post #17

Mon May 13, 2013 18:37 in Urdu

rabbnawazkhan wrote: Chingaree walay ni kia khoob byan kia hei :
الیکشن کے بازار میں عوام کی کھلی سود ابازی کی جارہی ہے ایک طرف آئی ایس آئی کے جنرل پاشا کی تخلیق کردہ پی ٹی آئی ہے تو دوسری طرف پاک آرمی کے جنرل ضیا الحق کی پیدا کردہ مسلم لیگ ن ہے ۔یا پھر ضیا آمریت کا مسلسل عذاب جماعت اسلامی اور ایم کیو ایم کی شکل میں موجودہ ہے ، اقتدار کا لا لچی اور بدنام زمانہ مولوی ڈیزل ، مشرف آمریت کی پیداوار مسلم لیگ ق یا مسلم لیگ گجرات ، بائیں بازو کی غدار قیادت اے این پی اور عوام کی امیدوں کی قاتل پی پی پی قیادت ہے
۔

This is the reality of PTI. Koi manay ya na manay......

AAP NE KIS PARTY KO VOTE DIYA ? » Post #16

Mon May 13, 2013 18:35 in Urdu

I repeat my words posted in Musharraf post..... Agar ab bhi Pakistan ki awam ne hosh nai kiya tu in ko next time ya kash kehnay ka bhi mauqa nai milay ga. Aur us k baad sirf eik Iran jaisa INQILAB hi is mulk ko baccha sakay ga. Yeh statement Abdul Sittar Edhi aur Insar Barni saab k thay elections se pehlay. Imran khan bhi dammi hai aur establishment k hathon mein khail rha hai. Ab next kia hota hai just wait and watch and of course Pray for our Country.

Paper in 3 days :? » Post #5

Mon May 13, 2013 18:28 in Urdu

fatima44 wrote: I have got my Fsc exam on 17th.. :( guys pleaaasee pray for me.. :oops:

All the very best sister. Ab kuch din forum ki jaan choro aur concentrate at ur studies. :thumbup:

Pakistan Elections 2013 » Post #20

Sat May 11, 2013 10:38 in Urdu

shahid_ali wrote:
rabbnawazkhan wrote: Lucnow k bankay sardion mein malmal ka kurta pehntay au oper pani chhirkwatay thay ta kay apni bahadri aur mardangi sabat karain.Ek analyst nay is ka tajzia youn kia tha k jab muashray zawal pazeer hojatay hein to un k nojawanon ko agay barhnay ka rasta nazar naheen aata laykin un ka josho walwala unhain aagay dhakaylta hei to wo masbat kamon ki bajay manfi kamon say apnay aap ko manwanay ki koshish kartay hein.Yahee haal ab hamaray nojwanon ka hei.Un kay samnay bhe koi masbat rahe amal naheen.Jo bhe jeetay koi masla hal naheen ho ga keun k kisi k paas bhe koi naya muashi program naheen .Sab k manshoor ek jaisay hein.Pehli baat to yeh nazar aati k makhloot hakoomat banay ge keun k jo aaj ek dosray ko galian day rahay hein unko un k aaqa saath bithain gay.aur agar kisi ko aksriat mil bhe to kia ho ga.Kia ham nay bharee mandate ka hasher naheen dekha aur ppp walay kis tarah haath baandhay adalton mein kharay rahay.Agar sar mein dard to dua ke ja sakti hei laykin machine kharab ho to mechanic bulana parhta hei.

DIL SAY NIKALTI HAY JO DUA ASAR RAKHTI HY
PAR NAHE, TAQAT E PARWAAZ MAGER RAKHTI HY

so sometime mechanic nahe bhe available hota.. aisi sorat mai dua ki jati hay k koi vaseela ban jay..
to sab log idher kisi achy waseely k liy he koshan hain..

:)

Salam, Shahid bhai Khuda b unki madad krta hai na jo apni madad ap krty hain. Yehi baat Iqbal ne kahi thi k jis qoum ko khud na khayal ho apni halat badalny ka us qoum ki halat ko koi nai badal sakta. Let's hope for the best and watch. K is qoum ne Pichlay 5 saal k tajrubay se kia seekha aur kahan tk seekha.

Pakistan Elections 2013 » Post #16

Fri May 10, 2013 17:41 in Urdu

Aur Ammad jaisy jo bhai abi kuch nai kr sakty un ki age kam hai ya un k vote register nai tu wo mulk ki behtri k liye is wazifa ko jari rakhain aj ka din. Inshallah is mulk ki salamti mein ap sb ka b utna hi hissa ho ga jitna hissa vote caste krnay walon ka ho ga.

Pakistan Elections 2013 » Post #15

Fri May 10, 2013 17:38 in Urdu

Pakistan Elections 2013 » Post #14

Fri May 10, 2013 17:37 in Urdu

From: Go
Return to the forums index
All times displayed are PST - Server Time: Nov 28, 2023 07:26:36 PST